Saturday, January 16, 2010

Parichay


Parichay bataun kya tumhe ye dost kuchh pal ke liye,

ho aaj tum jis mod per uss mod per tha kal koi,

rah gayi kuchh chand yaden nam bhi aab yaad nahi

thi tab bhi akeli rah meri hoon aaj bhi tanha pathik

ho jigyasa janane ki to khud ko hi tum jaan lo,

hai sab tumhare jaise hi yahan bas tum yahi pehchaan lo

Tu


Tu kuchh iss tarah se mare jindgi me aayi hai,
Nayi umang nayi chaht leke aayi hai.
Aisa nahi ki jakhm humne nahi khaye hain
Per tu her jakhm ki marhum banke aayi hai,
Tere bina bhi jindgi aab tak jee raha tha mai
Shayad bina manjil ka bhtak raha tha mai,
Shayad tu meri jindgi me manjil banke aayi hai

Thursday, January 14, 2010

Mai kaun hoon tera


Kaise kahoon ki main kaun hoon tera?

Teri ankahi Baat hoon
Teri ansuni aawaj hoon
Tere labo ki adhuri pyas hoon.

Kaise kahoon ki mai kaun hoon tera?

Teri hi parchhayin hoon mai
Teri aankho ki tanhai hoon
Teri sanso ki khushbu hoon

kaise kahoon ki mai kaun hoon tera?

Mai Pathik

Aaj ho tum jahan kal tha mai bhi waha…

Tum ho wahin mai pathik chalta raha….

abhi bhi kuchh dur hai manjil mujhhse

khush hoon iss bat pe ki aab kuchh hi door hoon

mai pathik hoon path pe chalta rahta hoon

har mod ko apni manjil samjh kar uski aour badhta hoon.