Parichay bataun kya tumhe ye dost kuchh pal ke liye,
ho aaj tum jis mod per uss mod per tha kal koi,
rah gayi kuchh chand yaden nam bhi aab yaad nahi
thi tab bhi akeli rah meri hoon aaj bhi tanha pathik
ho jigyasa janane ki to khud ko hi tum jaan lo,
hai sab tumhare jaise hi yahan bas tum yahi pehchaan lo