Friday, November 13, 2009

Jindagi


Ye Jindagi Ki Rahen,
Kahin Sidhi to kahin tedi rahen,
Kya Apne hain aur kya paraye,
Jindagi ke sath hi sab sath chhor deten hain,
Ye khushi aur ye gum ki baten,
Jindagi ke pyare se hain ye do kinare,
Kabhi iss kinare to kabhi uss kinare,
Ek kinare pe pyar milta hai,
Dusare Kinare pe pyar ki parakh hoti hai.
Ye Jindagi ki rahen,





Saturday, November 7, 2009

wo kaun hai

Mai ye kaise bataun wo kaun hai?
Jo kabhi apno se jyada to kabhi gairo se bhi kam hai.
Jo kabhi dushman hai mera to kabhi dost se bhi badkar hai.
Mai ye kaise bataun wo kaun hai mera?
Jo pyar bhi karta hai, takrar bhi karta hai.
Jo Hasake rulade aise kam bhi karta hai.
Mai kaise bataun wo kaun hai mera?

Thursday, November 5, 2009

meri awargi


MERI AWARGI AUR UNKA INTEJAR,
WO TO DARD DENE PER BHI KARTEN HAI MUJHASE PYAR,
UNKI DIWANGI ISS KADAR HO GAYI MUJHSE,
AAB TO MUJHKO DEKHTEN HAIN AAINE ME KHUD KO,
KHUD KO BHUL KAR BHI BHULA NA PAYE WO MUJHE,
AAB TO MERE NAAM KO BATATEN KHUD KE NAAM KO,

Wednesday, November 4, 2009

wo kahte hain


Wo kahten hai ki hum unse naraja hain,
hum kahten hain ki hum hamesha unke pas hain,
wo kahten hai ki tumhe pyar karna nahi aata,
hum kahten hain ki hum to hamesha pyar me jite hain,
wo kahten hai ki wo hamare bin jee nahi sakte,
hum kahten hai ki hum jeete hi unke liye hain,

Sunday, November 1, 2009

Nasha hai


Aankho ka nasha hai ya teri baton ka nasha,
Nashe me hoon mai ya hai chahat ka nasha
Aane wale pal ka nasha hai ya bite pal ka nasha
awaragi ka nasha hai ya diwanagi ka nasha
kisi ke pane ka nasha hai ya kuchh khone ka nasha
Izhaar ka nasha hai ya Ikarar ka nasha




Teri Baten


Yaad Aati hain jab teri baten
kabhi hansati to kabhi rulati hai teri baten,
dard deti hain dil ko to kabhi dard se chhutkara dilati teri baten,
Yaad aati hain jab teri baten
Jab kabhi kho jata hoon teri yaadon me,
Dil ko shukun deti hain teri baten,
Janta hoon tu ho gayi hai aab kisi gair ki
Gum nahi iska mujhhe kyun ki aab bhi sath hain mere teri baten.